sarkaa ke i'baadat kaa pardah, tum sheKh kii suurat dekh toh lo
phir muuNd ke aaNkheN jii lenaa, ik baar haqiiqat dekh toh lo
haaN, mulk kii haalat meN, waa'iz1, tarmiim2 kii raah bataa denaa
par raah bataane se pahle kuchh mulk kii haalat dekh toh lo
maanaa k hai a'mn bahut mushkil, maanaa k zaruurii haiN jangeN
laatii hai magar kyaa barbaadii bekaar kii hujjat3 dekh toh lo
kis mulk ke baashindeh kii hai, kis raNg ke jism meN bastii hai
baazaar meN kaise lagtii hai har jaan kii qiimat dekh toh lo
kal woh bhii faqat ik qaai'd4 thaa jo aaj masiihaa Thahraa hai
mazhab meN badaltii hai kaise maazii5 kii siyaasat dekh toh lo
(1. preacher 2. improvement 3. altercation 4. leader 5. past)