koii a'ashiq nah koii rind1 nah diiwaanah koii
aaKhir is shah'r meN kis se kare yaaraanah koii
aisii mahfil meN bhare kyaa miraa paimaanah koii
koii panDit hai yahaaN aur hai maulaanah koii
mere taariik2 tassawwur meN woh raushan chahraa
jaise ik phuul se aabaad ho wiiraanah koii
ab nah toh shama'a kii lau meN woh kashish baaqii hai
aur nah hii jalne ko taiyyaar hai parwaanah koii
mere nazdiik toh aye ziist3 haqiiqat terii
be hunar se kisii 'Raaqim' kaa hai afsaanah koii
(1. boozer 2. dark 3. life)