tumhaarii baateN

udaas ho jaaye shaam gar toh tumhaarii baateN kiyaa kareNge
kisii se ho apne aap se ho tumhaarii baateN kiyaa kareNge

tumheN kahaaN chaah'te haiN woh toh bas apnii aawaaz ke haiN a'ashiq
tumheN samajhte nah hoN magar woh tumhaarii baateN kiyaa kareNge

tumhaare dil ke tamaam armaaN humaare dil ke bhii ab haiN mehmaaN
humaaraa haal ab jo hum se poochho tumhaarii baateN kiyaa kareNge

jehaaN kii farmaa'isheN bhii puurii kareNge aur apnii KhwaahisheN bhii
kahegaa jab ko'ii kuchh sunaa do tumhaarii baateN kiyaa kareNge

kisii kii chaaragarii peh hum ko yaqiiN nah thaa aur nah hogaa jaanaaN
humeN jo bharne hoN apne ghaa'o tumhaarii baateN kiyaa kareNge