ufaq ko taktii haiN


ufaq1 ko taktii haiN muddat se be shumaar aaNkheN
sahar2 kaa Khwaab liye sab umeedwaar3 aaNkheN

maiN jaantaa huuN k hargiz nah aayegaa ab woh
nibhaaye jaatii haiN par farz-e-intizaar aaNkheN

woh dekh paaye zamaaneh ko merii nazroN se
use aye kaash mirii de sakuuN udhaar aaNkheN

mujhe dilaatii haiN jangal meN hone kaa ehsaas
yeh shah'r waalo kii aiyyaar-o-hoshiyaar4 aaNkheN

bichhaR'te waqt woh royaa toh thaa magar 'Raaqim'
masarratoN5 meN bhii hotii haiN ashk'baar6 aaNkheN

(1. horizon  2. dawn  3. hopeful  4. vigilant & alert  5. joys  6. tearful)