kab se chaman ke dil meN bahaaroN kaa Khwaab hai
lekin KhizaaN1 kaa raaj abhii kaamyaab hai
kitne qadam woh peechhe haTaa aur kitne maiN
baRh'tii mafaaraqat2 hai yeh mushkil hisaab hai
jaayeN nah us kii simt3 toh kaise pataa kareN
daryaa hai koii yaa woh faqat ik saraab4 hai
ik daur thaa k hum pe thaa ik Khwaab kaa junuuN
aur aaj us junuun kaa bhii sirf Khwaab hai
'Raaqim' tiraa sawaal use kyaa haraayegaa
kuchh aur ho nah ho peh woh haazir jawaab hai
(1. autumn 2. separation 3. towards 4. mirage)