dewii


baRii mehnat se maine ik tumhaaraa but banaayaa hai
khare sone ke geh'noN se use maine sajaayaa hai
raso'ii ghar ke ik kone meN ik mandir banaayaa hai
tumhaaraa but baRii i'zzat se mandir meN biThaayaa hai
tumheN puujaa hai, tum ko maaN ka darjah bhii dilaayaa hai
ab is ke b'ad bhii khaanaa pakaanaa meraa zimmah hai?