wahii doraahaa, wahii kashmakash


wahii doraahaa wahii kashmakash kidhar jaayeN
jahaaN ke saath k phir dil kii raah par jaayeN

khilaa sakeN nah koii phuul hum agar nah sahii
chaman se jaate huwe Khaar1 kam toh kar jaayeN

charaaGh-e-josh hawaa-e-balaaGh2 ne phuuNkaa
nah jaane u'mr ke saath aur kyaa hunar jaayeN

kyoN aaNkhoN aaNkhoN talak silsilah rahe mahduud3
aa ek duusare ke dil meN hum utar jaayeN

diyaa thaa hukm yeh jaise kisii ne aaNdhii ko
k sirf kacche makaanoN ke baam-o-dar4 jaayeN

(1. thorns  2. maturity  3. restricted  4. roof and door)