Bhopal
(Bhopal ke gas haadseh se aas paas kaa paanii bhii zahr-aaluud ho gayaa thaa.)
botal meN hai saaf hai jo
shiishe saa shaffaaf1 hai jo
saahab, aap kaa paanii hai
hum ko toh jo zahr milaa
us se bhigoyaa hum ne galaa
pyaas toh sab ne bujhaanii hai
(1. transparent)