haaye andaaz us kii yaarii kaa
jhuuTii ta'ariif-o-inkesaarii1 kaa
zindagii ko ba Ghaur dekhuuN toh
khel lagtii hai ik juaarii kaa
jism us kaa Ghazaal paikar2 hai
dil magar hai kisii shikaarii kaa
raas aataa nahiiN qaraar is ko
zahn a'ashiq hai beqaraarii kaa
sab se yuuN khul ke mat milo 'Raaqim'
yeh zamaanah hai hoshiyaarii kaa
(1. fake praise & modesty 2. like a gazelle)