haal puuchho toh


haal puuchho toh sunaate haiN hasiiN afsaaneh
log lagtaa hai k sacchaaii se haiN begaane

yak ba yak band huwe jaate haiN sab mai Khaane
jaanib-e-dair-o-haram1 jaate rahe diiwaane

in nazaaroN meN hai ma'asuum lahuu se rangat
aise aabaad nagar se toh bhale wiiraane

sirf darKhwaast hii sun'ne kaa rahaa hai a'adii
woh bhalaa haqq-o-masaawat2 kii zabaaN kyaa jaane

uljhaneN apanii jo suljhaa nah sake toh "Raaqim"
masa'le hum bhii zamaane ke lage suljhaane

(1. towards the temple and the mosque  2. rights and equality )